Wednesday, October 15, 2014

Bachpan…

Sabse suhana hota hai bachpan,
Na chaho to bhi hamesha yaad aata hai bachpan.
Wo sharatein, wo atkheliyaan,
Wo andhere ki aankh-michauliyaan.
Sabse suhana hota hai bachpan,
Na chaho to bhi hamesha yaad aata hai bachpan.
Wo Ma ke haaton ka khana, wo sukun se sona,
Wo bhai-behen se jhagare, kabhi ruthna-kabhi manana.
Sabse suhana hota hai bachpan,
Na chaho to bhi hamesha yaad aata hai bachpan.
Wo saadgi, wo sacchaee, jhooth ka na tha namoneeshaan,
Kahan gaye wo din jab chhuut ta nahi tha aashiyaan.
Sabse suhana hota hai bachpan,
Na chaho to bhi hamesha yaad aata hai bachpan.
Wo doston ke ghar khana khana, khelna gilli-danada dhale sham,
Bahut yaad aata hai dopahar ka sannata aur chiriyon ka chahahana subah-shaam.
Sabse suhana hota hai bachpan,
Na chaho to bhi hamesha yaad aata hai bachpan.
Bus yaadoon main bas gaya hai wo waqt,
Chah kar bhi laut nahi sakta, de do chahe koi bhi kimat.
Sabse suhana hota hai bachpan,
Na chaho to bhi hamesha yaad aata hai bachpan.
Achha lagta hai uss sukun ko yaad karke, jo tha hamari zindagi ka hissa kabhi,
Abb to iss zindagi mein aata hi hain sukun kabi-kabhi.
Sabse suhana hota hai bachpan,

Na chaho to bhi hamesha yaad aata hai bachpan…

No comments: